(I wrote this one, when I was ‘still’ in search of a good job)
Anant neela aakash
Athah gehra saagar
Badalon ke woh
Bante-bigadte chehre
Sab tumhare liye.
Barkha ki pehli boond
Mitti ki sondhi-si gandh
Aam ka woh pehla baur
Sab tumhe arpan.
Apne ek abhhisht ke badle
Mera saara kanchan
Kya doon tumhe, jab
Sab tumhara hi to hai,
Mere karm aur
Mera dharm, sab kuchh.
Yun to main jaanta hun
Ki tum jaante ho…
Phir bhi, mere ek isht ke badle
Mera sab kuchh,
Tumhe arpan.
No comments:
Post a Comment